kahan kahan liye phirti hai aarzu mujhko
kahāñ kahāñ liye phirtī hai aarzū mujh ko
thakā.e Dāltī hai terī justujū mujh ko
huā jo chaak garebāñ to ho ga.e rusvā
isī meñ aaj bhī bahlā gayā rafū mujh ko
nigāh-e-nāz tirī iltifāt ke sadqe
na koī shīsha na ab chāhiye subū mujh ko
na baat phailtī qātil bhī saaf bach jaatā
vo kahiye rang gayā hai mirā lahū mujh ko
ġham-e-hayāt ne sab dil ke raaz khole haiñ
baḌī aziiz thī 'paikar' ye aabrū mujh ko
kahan kahan liye phirti hai aarzu mujh ko
thakae Dalti hai teri justuju mujh ko
hua jo chaak gareban to ho gae ruswa
isi mein aaj bhi bahla gaya rafu mujh ko
nigah-e-naz teri iltifat ke sadqe
na koi shisha na ab chahiye subu mujh ko
na baat phailti qatil bhi saf bach jata
wo kahiye rang gaya hai mera lahu mujh ko
gham-e-hayat ne sab dil ke raaz khole hain
baDi aziz thi 'paikar' ye aabru mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.