kahan kahan pe lage zaKHm kya dikhaun use
kahāñ kahāñ pe lage zaḳhm kyā dikhā.ūñ use
maiñ kis zabāñ se kahūñ hāl-e-dil sunā.ūñ use
vo mujh ko bhuul ke duniyā basā chukā hai magar
maiñ ab bhī soch rahā huuñ ki bhuul jā.ūñ use
har ek shab maiñ yahī sochtā huuñ bistar par
jo ahd ḳhud se kiyā hai kabhī nibhā.ūñ use
anā ne ishq ke pairoñ meñ Daal dī zanjīr
maiñ naaz kaise karūñ raqs kar dikhā.ūñ use
mirā ġhurūr mirī raah kī rukāvaT hai
maiñ sirf soch rahā huuñ ki ab haTā.ūñ use
kase na ta.ana use tamkanat se tez huā
charāġh bujh gayā jo ḳhuun se jalā.ūñ use
gulāb kaise khilā.eñ agar ho saḳht zamīñ
hunar ġhazal kā ye 'shādāb' maiñ sikhā.ūñ use
kahan kahan pe lage zaKHm kya dikhaun use
main kis zaban se kahun haal-e-dil sunaun use
wo mujh ko bhul ke duniya basa chuka hai magar
main ab bhi soch raha hun ki bhul jaun use
har ek shab main yahi sochta hun bistar par
jo ahd KHud se kiya hai kabhi nibhaun use
ana ne ishq ke pairon mein Dal di zanjir
main naz kaise karun raqs kar dikhaun use
mera ghurur meri rah ki rukawaT hai
main sirf soch raha hun ki ab haTaun use
kase na tana use tamkanat se tez hua
charagh bujh gaya jo KHun se jalaun use
gulab kaise khilaen agar ho saKHt zamin
hunar ghazal ka ye 'shadab' main sikhaun use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.