kahan kahan se sameTun shikasta KHwabon ko
kahāñ kahāñ se sameTūñ shikasta ḳhvāboñ ko
ki zabt-e-ġham kā salīqa nahīñ hai āñkhoñ ko
ajab bahār-e-ḳhizāñ hai chaman meñ ab kī baar
havā uḌātī phirī mere ḳhushk pattoñ ko
safar abhī to zarā sā kiyā hai tere baġhair
abhī to ronā bahut hai udaas āñkhoñ ko
abhī to umr kā ye dasht paar karnā hai
charāg karnā hai kuchh be-charāġh rātoñ ko
vo rāsta bhī ajab thā vo ham-safar bhī kamāl
jo mujh ko sauñp gayā sar-phirī havāoñ ko
ki jin ko kaaT deñ ḳhud mauja-e-bahār ke haat
sajā.e kaun phir aisī burīda shāḳhoñ ko
chamaktī jaatī haiñ aur bhīgtī bhī jaatī haiñ
hunar ye kis ne sikhāyā hai merī palkoñ ko
maiñ bhuul jaatī huuñ har sub.h terā naam magar
maiñ yaad kartī huuñ har raat terī bātoñ ko
kahan kahan se sameTun shikasta KHwabon ko
ki zabt-e-gham ka saliqa nahin hai aankhon ko
ajab bahaar-e-KHizan hai chaman mein ab ki bar
hawa uDati phiri mere KHushk patton ko
safar abhi to zara sa kiya hai tere baghair
abhi to rona bahut hai udas aankhon ko
abhi to umr ka ye dasht par karna hai
charag karna hai kuchh be-charagh raaton ko
wo rasta bhi ajab tha wo ham-safar bhi kamal
jo mujh ko saunp gaya sar-phiri hawaon ko
ki jin ko kaT den KHud mauja-e-bahaar ke hat
sajae kaun phir aisi burida shaKHon ko
chamakti jati hain aur bhigti bhi jati hain
hunar ye kis ne sikhaya hai meri palkon ko
main bhul jati hun har subh tera nam magar
main yaad karti hun har raat teri baaton ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.