kahan-kahan tujhe DhunDun kahan duhai dun
kahāñ-kahāñ tujhe DhūñDūñ kahāñ duhā.ī duuñ
kisī kā jurm ho apnī to maiñ safā.ī duuñ
ye kusht-o-ḳhūn kā manzar nafas-nafas lekin
asīr-e-jāñ ko bhalā kis tarah rihā.ī duuñ
maiñ ik sadā huuñ to taḌpūñ tirī zabān ke biich
huuñ ik ḳhayāl to parvāz meñ dikhā.ī duuñ
kabhī to phailūñ in āñkhoñ meñ dāstāñ ban kar
kahāñ talak lab-e-ḳhāmosh se duhā.ī duuñ
badan meñ chīḳhtā phirtā huuñ tire raat ga.e
nahīñ yaqīn kī tujh ko na maiñ sunā.ī duuñ
tirī vafā ke bahut tazkire kiye ab to
ye jī meñ hai tujhe ilzām-e-bevafā.ī duuñ
tujhe shafaq meñ bharūñ chāñd chāñd chamkā.ūñ
sahar meñ duur talak rang-āzmā.ī duuñ
bas ek baar nazar aa miyān-e-sho.ala-o-shām
phir is ke baad na maiñ umr bhar dikhā.ī duuñ
kahāñ talak tere laulāk par maiñ chhāyā rahūñ
kahāñ talak tirī palkoñ pe maiñ dikhā.ī duuñ
ġhazal nahīñ na sahī marsiya likhūñ 'ajmal'
qalam hai sard ise dil kī raushnā.ī duuñ
kahan-kahan tujhe DhunDun kahan duhai dun
kisi ka jurm ho apni to main safai dun
ye kusht-o-KHun ka manzar nafas-nafas lekin
asir-e-jaan ko bhala kis tarah rihai dun
main ek sada hun to taDpun teri zaban ke bich
hun ek KHayal to parwaz mein dikhai dun
kabhi to phailun in aankhon mein dastan ban kar
kahan talak lab-e-KHamosh se duhai dun
badan mein chiKHta phirta hun tere raat gae
nahin yaqin ki tujh ko na main sunai dun
teri wafa ke bahut tazkire kiye ab to
ye ji mein hai tujhe ilzam-e-bewafai dun
tujhe shafaq mein bharun chand chand chamkaun
sahar mein dur talak rang-azmai dun
bas ek bar nazar aa miyan-e-shoala-o-sham
phir is ke baad na main umr bhar dikhai dun
kahan talak tere laulak par main chhaya rahun
kahan talak teri palkon pe main dikhai dun
ghazal nahin na sahi marsiya likhun 'ajmal'
qalam hai sard ise dil ki raushnai dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.