kahan kahan tu phirega chhupa chhupa ke mujhe
kahāñ kahāñ tū phiregā chhupā chhupā ke mujhe
ki maiñ charāġh huuñ rakh sāmne havā ke mujhe
sa.ūbatoñ kā nahīñ hai jo silsila aage
palaT gayā hai vo kyoñ rāsta batā ke mujhe
maiñ āñsūoñ kī tijārat tamām umr karūñ
magar hai shart vo hañstā rahe rulā ke mujhe
vahī surūr abhī tak hai dīda-o-dil meñ
kisī ne dekhā thā ik baar muskurā ke mujhe
maiñ is adā ko batā kis hisāb meñ likkhūñ
rulā diyā hai kisī ne hañsā hañsā ke mujhe
maiñ apne aap ko 'qāsid' sameTtā kaise
bikher detā hai aksar vo yaad aa ke mujhe
kahan kahan tu phirega chhupa chhupa ke mujhe
ki main charagh hun rakh samne hawa ke mujhe
saubaton ka nahin hai jo silsila aage
palaT gaya hai wo kyon rasta bata ke mujhe
main aansuon ki tijarat tamam umr karun
magar hai shart wo hansta rahe rula ke mujhe
wahi surur abhi tak hai dida-o-dil mein
kisi ne dekha tha ek bar muskura ke mujhe
main is ada ko bata kis hisab mein likkhun
rula diya hai kisi ne hansa hansa ke mujhe
main apne aap ko 'qasid' sameTta kaise
bikher deta hai aksar wo yaad aa ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.