kahan le jaenge saman itna
kahāñ le jā.eñge sāmān itnā
agar aa jaa.e ham ko dhyān itnā
ye āñkheñ DhūñDhtī rahtī haiñ kis ko
ye dil rahtā hai kyuuñ hairān itnā
use koī samajh saktā hai kaise
badal jaatā ho jo har aan itnā
jo karnā thā vo maiñ ne kar liyā hai
mire jauhar meñ thā imkān itnā
use ham bhuul to sakte haiñ lekin
nahīñ ye kaam kuchh āsān itnā
kise rahnā hai duniyā meñ hamesha
kahāñ hogā koī nādān itnā
'ziyā' duniyā meñ jitnā rah chuke ham
bhalā rahte haiñ kab mehmān itnā
kahan le jaenge saman itna
agar aa jae hum ko dhyan itna
ye aankhen DhunDhti rahti hain kis ko
ye dil rahta hai kyun hairan itna
use koi samajh sakta hai kaise
badal jata ho jo har aan itna
jo karna tha wo main ne kar liya hai
mere jauhar mein tha imkan itna
use hum bhul to sakte hain lekin
nahin ye kaam kuchh aasan itna
kise rahna hai duniya mein hamesha
kahan hoga koi nadan itna
'ziya' duniya mein jitna rah chuke hum
bhala rahte hain kab mehman itna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.