kahan le jaun dil ko ya-ilahi
kahāñ le jā.ūñ dil ko yā-ilāhī
gunah Thahrī hai merī be-gunāhī
panāh-e-har-do-ālam ban ga.ī hai
junūn-e-ishq terī be-panāhī
diloñ par kar ga.ī hai sehr kyā kyā
hasīnoñ kī adā-e-kam-nigāhī
ye aahaT hai usī sarv-e-ravāñ kī
dil-e-betāb detā hai gavāhī
takalluf-bartaraf ye mai-kada hai
nahīñ yaañ rāh-o-rasm-e-uzr-ḳhvāhī
jigar ke saath duniyā-e-adab se
huī ruḳhsat vo shān-e-kaj-kulāhī
'majāz' ab lakhna.ū tujh bin hai suunā
fuġhān-e-shab na āh-e-sub.h-gāhī
shu.ūr-e-manzil-e-nau aaj bhī hai
tirī laġhzish tirī gum-karda-rāhī
mubārak ho tujhe ai ḳhāna vīrāñ
jahān-e-mai-kada kī bādshāhī
girāñ hai tāj-dārān-e-chaman par
asīrān-e-qafas kī dād-ḳhvāhī
ma.āl-e-hasrat-e-ta.amīr kyā hai
'jamāl' apne bhare ghar kī tabāhī
kahan le jaun dil ko ya-ilahi
gunah Thahri hai meri be-gunahi
panah-e-har-do-alam ban gai hai
junun-e-ishq teri be-panahi
dilon par kar gai hai sehr kya kya
hasinon ki ada-e-kam-nigahi
ye aahaT hai usi sarw-e-rawan ki
dil-e-betab deta hai gawahi
takalluf-bartaraf ye mai-kada hai
nahin yan rah-o-rasm-e-uzr-KHwahi
jigar ke sath duniya-e-adab se
hui ruKHsat wo shan-e-kaj-kulahi
'majaz' ab lakhnau tujh bin hai suna
fughan-e-shab na aah-e-subh-gahi
shuur-e-manzil-e-nau aaj bhi hai
teri laghzish teri gum-karda-rahi
mubarak ho tujhe ai KHana viran
jahan-e-mai-kada ki baadshahi
giran hai taj-daran-e-chaman par
asiran-e-qafas ki dad-KHwahi
maal-e-hasrat-e-tamir kya hai
'jamal' apne bhare ghar ki tabahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.