kahan manzar KHushi ke baDh rahe hain
kahāñ manzar ḳhushī ke baḌh rahe haiñ
masā.il zindagī ke baḌh rahe haiñ
gale mil kar unheñ ham ab katar deñ
jo nāḳhun dushmanī ke baḌh rahe haiñ
simaTte jā rahe haiñ ab ujāle
tamāshe tīrgī ke baḌh rahe haiñ
taraqqī par hai ab be-rozgārī
ki saa.e muflisī ke baḌh rahe haiñ
hamārī jeb ḳhālī ho rahī hai
ḳhazāne seTh jī ke baḌh rahe haiñ
udāsī meñ nahīñ merī izāfa
ki ranj-o-ġham sabhī ke baḌh rahe haiñ
ġhazal 'yāsīn' vus'at pā rahī hai
mazāmīñ shā'irī ke baḌh rahe haiñ
kahan manzar KHushi ke baDh rahe hain
masail zindagi ke baDh rahe hain
gale mil kar unhen hum ab katar den
jo naKHun dushmani ke baDh rahe hain
simaTte ja rahe hain ab ujale
tamashe tirgi ke baDh rahe hain
taraqqi par hai ab be-rozgari
ki sae muflisi ke baDh rahe hain
hamari jeb KHali ho rahi hai
KHazane seTh ji ke baDh rahe hain
udasi mein nahin meri izafa
ki ranj-o-gham sabhi ke baDh rahe hain
ghazal 'yasin' wus'at pa rahi hai
mazamin sha'iri ke baDh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.