kahan pahunchega wo kahna zara mushkil sa lagta hai
kahāñ pahuñchegā vo kahnā zarā mushkil sā lagtā hai
magar us kā safar dekho to ḳhud manzil sā lagtā hai
nahīñ sun pāoge tum bhī ḳhamoshī shor meñ us kī
use tanhā.ī meñ sunñā bharī mahfil sā lagtā hai
bujhā bhī hai vo bikhrā bhī ka.ī TukḌoñ meñ tanhā bhī
vo sūrat se kisī āshiq ke TuuTe dil sā lagtā hai
vo sapnā sā hai saaya sā vo mujh meñ moh-māyā sā
vo ik din chhūT jaanā hai abhī hāsil sā lagtā hai
ye lagtā hai us ik pal meñ ki maiñ aur tū nahīñ haiñ do
vo pal jis meñ mujhe maazī hī mustaqbil sā lagtā hai
kahan pahunchega wo kahna zara mushkil sa lagta hai
magar us ka safar dekho to KHud manzil sa lagta hai
nahin sun paoge tum bhi KHamoshi shor mein us ki
use tanhai mein sunna bhari mahfil sa lagta hai
bujha bhi hai wo bikhra bhi kai TukDon mein tanha bhi
wo surat se kisi aashiq ke TuTe dil sa lagta hai
wo sapna sa hai saya sa wo mujh mein moh-maya sa
wo ek din chhuT jaana hai abhi hasil sa lagta hai
ye lagta hai us ek pal mein ki main aur tu nahin hain do
wo pal jis mein mujhe mazi hi mustaqbil sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.