kahan pe bichhDe the hum log kuchh pata mil jae
kahāñ pe bichhḌe the ham log kuchh pata mil jaa.e
tumhāre jaisā agar koī dūsrā mil jaa.e
jilau meñ le ke chaleñ saare nā-tamām ye ḳhvāb
na jaane kis jagah umr-e-gurez-pā mil jaa.e
bahut se zaḳhm haiñ duniyā ke ab bhī nā-ḳhurda
kuchh aur bhī hameñ jiine kā hausla mil jaa.e
na jaane kyā kare imroz kā ye sannāTā
hamāre maazī kā ik lamha chīḳhtā mil jaa.e
shikast-o-reḳht kī duniyā meñ huuñ to ḳhvāhish hai
ḳhayāl bikhrā huā jism TūTtā mil jaa.e
kahan pe bichhDe the hum log kuchh pata mil jae
tumhaare jaisa agar koi dusra mil jae
jilau mein le ke chalen sare na-tamam ye KHwab
na jaane kis jagah umr-e-gurez-pa mil jae
bahut se zaKHm hain duniya ke ab bhi na-KHurda
kuchh aur bhi hamein jine ka hausla mil jae
na jaane kya kare imroz ka ye sannaTa
hamare mazi ka ek lamha chiKHta mil jae
shikast-o-reKHt ki duniya mein hun to KHwahish hai
KHayal bikhra hua jism TuTta mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.