kahan sabaat ka usko KHayal hota hai
kahāñ sabāt kā us ko ḳhayāl hotā hai
zamāna maazī hī hone ko haal hotā hai
faroġh-e-badr na baaqī rahā na but kā shabāb
zavāl hī ke liye har kamāl hotā hai
maiñ chāhtā huuñ ki bas ek hī ḳhayāl rahe
magar ḳhayāl se paidā ḳhayāl hotā hai
bahut pasand hai mujh ko ḳhamoshī-o-‘uzlat
dil apnā hotā hai apnā ḳhayāl hotā hai
vo toḌte haiñ to kaliyāñ shagufta hotī haiñ
vo rauñdte haiñ to sabza nihāl hotā hai
society se alag ho to zindagī dushvār
agar milo to natīja malāl hotā hai
pasand-e-chashm kā hargiz kuchh e'tibār nahīñ
bas ik karishma-e-vahm-o-ḳhayāl hotā hai
kahan sabaat ka us ko KHayal hota hai
zamana mazi hi hone ko haal hota hai
farogh-e-badr na baqi raha na but ka shabab
zawal hi ke liye har kamal hota hai
main chahta hun ki bas ek hi KHayal rahe
magar KHayal se paida KHayal hota hai
bahut pasand hai mujh ko KHamoshi-o-‘uzlat
dil apna hota hai apna KHayal hota hai
wo toDte hain to kaliyan shagufta hoti hain
wo raundte hain to sabza nihaal hota hai
society se alag ho to zindagi dushwar
agar milo to natija malal hota hai
pasand-e-chashm ka hargiz kuchh e'tibar nahin
bas ek karishma-e-wahm-o-KHayal hota hai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 92)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.