kahan sar piTne ka waqt ab bedad-e-qatil par
kahāñ sar pīTne kā vaqt ab bedād-e-qātil par
kaleje par mirā ik haath hai ik haath hai dil par
asīrī ko mirī sab qaid hī samjheñ magar maiñ to
jo pyaar aatā hai bose dene lagtā huuñ salāsil par
ye naale nikle jis dil se na jaane us pe kyā guzrī
ki jis ke kaan tak pahoñche chhurī sī chal ga.ī dil par
nahīñ ab aah sāhil dekhnā bhī apnī qismat meñ
nazar aa.ī haiñ maujeñ jab nazar Daalī hai sāhil par
tabassum ne abhī in rang uḌe hoñToñ ko chūmā hai
khiñchī tasvīr kis kī parda-hā-e-chashm-e-qātil par
ye haiñ kaisī balā.eñ is se ho saktā hai andāza
ki chīḳh uTThe haiñ vo bhī jaan jo dete the mushkil par
tamāshā āḳhirī hai ab nahīñ mauqa taġhāful kā
ki rangat lauTtī phirtī hai qātil rū-e-bismil par
hamārī zindagī ik naam thā tīmār-dārī kā
kabhī uTThā na 'beḳhud' jab se rakkhā haath ko dil par
kahan sar piTne ka waqt ab bedad-e-qatil par
kaleje par mera ek hath hai ek hath hai dil par
asiri ko meri sab qaid hi samjhen magar main to
jo pyar aata hai bose dene lagta hun salasil par
ye nale nikle jis dil se na jaane us pe kya guzri
ki jis ke kan tak pahonche chhuri si chal gai dil par
nahin ab aah sahil dekhna bhi apni qismat mein
nazar aai hain maujen jab nazar Dali hai sahil par
tabassum ne abhi in rang uDe honTon ko chuma hai
khinchi taswir kis ki parda-ha-e-chashm-e-qatil par
ye hain kaisi balaen is se ho sakta hai andaza
ki chiKH uTThe hain wo bhi jaan jo dete the mushkil par
tamasha aaKHiri hai ab nahin mauqa taghaful ka
ki rangat lauTti phirti hai qatil ru-e-bismil par
hamari zindagi ek nam tha timar-dari ka
kabhi uTTha na 'beKHud' jab se rakkha hath ko dil par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.