kahan se bunte nae rose tane-bane hum
kahāñ se bunte na.e roz tāne-bāne ham
nayā nayā ye zamāna hai aur purāne ham
hamārī āñkhoñ pe ġhalba hai niiñd kā ab bhī
lage hue haiñ ka.ī roz se Thikāne ham
sabhī khaḌe the vahāñ apnī dāstān liye
jahāñ jahāñ ga.e qissa koī sunāne ham
chaḌhā huā hai abhī ham pe hijratoñ kā nasha
palaT ke ā.eñge ik din kisī bahāne ham
havā ke Dar se jo apne paroñ meñ simTe haiñ
unhīñ parindoñ ko aa.e haiñ ab uḌāne ham
bahut dinoñ se to apne hisār meñ gum hai
tujhe bhī ā.eñge is qaid se chhuḌāne ham
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki kyā huā 'naushād'
lage haiñ in dinoñ bāteñ bahut banāne ham
kahan se bunte nae roz tane-bane hum
naya naya ye zamana hai aur purane hum
hamari aankhon pe ghalba hai nind ka ab bhi
lage hue hain kai roz se Thikane hum
sabhi khaDe the wahan apni dastan liye
jahan jahan gae qissa koi sunane hum
chaDha hua hai abhi hum pe hijraton ka nasha
palaT ke aaenge ek din kisi bahane hum
hawa ke Dar se jo apne paron mein simTe hain
unhin parindon ko aae hain ab uDane hum
bahut dinon se to apne hisar mein gum hai
tujhe bhi aaenge is qaid se chhuDane hum
samajh mein kuchh nahin aata ki kya hua 'naushad'
lage hain in dinon baaten bahut banane hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.