kahan se mafhum-e-she’r aae naya naya sa
kahāñ se mafhūm-e-she’r aa.e nayā nayā sā
charāġh-e-fikr-o-ḳhayāl ho jab bujhā bujhā sā
ġhubār-e-nafrat na gard-e-kīna na dāġh-e-ranjish
chale bhī aao ki merā dil hai dhulā dhulā sā
ḳhudāyā sab kī nigāheñ us par hī paḌ rahī haiñ
hai gulsitāñ meñ jo ik shagūfa khilā khilā sā
ye us ke husn-o-jamāl kī turfagī hai shāyad
vo bhiiḌ meñ hai magar hai sab se judā judā sā
haiñ merī nazreñ bhī aaj kuchh kuchh jhukī jhukī sī
tumhārā bhī rang-e-ruḳh hai kuchh kuchh uḌā uḌā sā
suḳhan ke sailāb kā ye manzar 'ajīb sā hai
ruvāñ-ruvāñ sā hai gāhe-gāhe rukā rukā sā
agarche fikr-o-nazar meñ 'gauhar' ke hai bulandī
magar vo rakhtā hai sar hamesha jhukā jhukā sā
kahan se mafhum-e-she’r aae naya naya sa
charagh-e-fikr-o-KHayal ho jab bujha bujha sa
ghubar-e-nafrat na gard-e-kina na dagh-e-ranjish
chale bhi aao ki mera dil hai dhula dhula sa
KHudaya sab ki nigahen us par hi paD rahi hain
hai gulsitan mein jo ek shagufa khila khila sa
ye us ke husn-o-jamal ki turfagi hai shayad
wo bhiD mein hai magar hai sab se juda juda sa
hain meri nazren bhi aaj kuchh kuchh jhuki jhuki si
tumhaara bhi rang-e-ruKH hai kuchh kuchh uDa uDa sa
suKHan ke sailab ka ye manzar 'ajib sa hai
ruwan-ruwan sa hai gahe-gahe ruka ruka sa
agarche fikr-o-nazar mein 'gauhar' ke hai bulandi
magar wo rakhta hai sar hamesha jhuka jhuka sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.