kahan siyasat-e-aghyar ne halak kiya
kahāñ siyāsat-e-aġhyār ne halāk kiyā
hameñ to apne hī afkār ne halāk kiyā
kisī kī maut kā baa.is thī ḳhāna-vīrānī
kisī ko raunaq-e-gulzār ne halāk kiyā
kisī ke vāste phūloñ kī sej mūjib-e-marg
kisī ko jāda-e-pur-ḳhār ne halāk kiyā
kisī ko sho.ala-e-ḳhurshīd ne jilā Daalā
kisī ko sāya-e-ashjār ne halāk kiyā
savād-e-shām kisī ke liye payām-e-ajal
kisī ko sub.h ke āsār ne halāk kiyā
kisī kī jaan ga.ī dekh kar tirā jalva
kisī ko hasrat-e-dīdār ne halāk kiyā
koī shikār huā apnī hichkichāhaT kā
kisī ko jur.at-e-iz.hār ne halāk kiyā
kisī kā taḳhta bichhāyā nasīb-e-ḳhufta ne
kisī ko tāla-e-bedār ne halāk kiyā
vahī halākū ki jis ne kiye hazāroñ halāk
use bhī vaqt kī yalġhār ne halāk kiyā
kisī ko maar gayā us kā kam-suḳhan honā
kisī ko kasrat-e-ash.ār ne halāk kiyā
vahī ḳhasāra hai sab kī tarah hameñ darpesh
hameñ bhī garmī-e-bāzār ne halāk kiyā
kabhī tabāh hue mashvara na milne se
kabhī navishta-e-dīvār ne halāk kiyā
milī thī jis ke laboñ se na.ī hayāt hameñ
usī kī shoḳhī-e-guftār ne halāk kiyā
ḳhudā kā shukr ki pastī na ham ko kheñch sakī
hameñ bulandī-e-me.ār ne halāk kiyā
kahan siyasat-e-aghyar ne halak kiya
hamein to apne hi afkar ne halak kiya
kisi ki maut ka bais thi KHana-virani
kisi ko raunaq-e-gulzar ne halak kiya
kisi ke waste phulon ki sej mujib-e-marg
kisi ko jada-e-pur-KHar ne halak kiya
kisi ko shoala-e-KHurshid ne jila Dala
kisi ko saya-e-ashjar ne halak kiya
sawad-e-sham kisi ke liye payam-e-ajal
kisi ko subh ke aasar ne halak kiya
kisi ki jaan gai dekh kar tera jalwa
kisi ko hasrat-e-didar ne halak kiya
koi shikar hua apni hichkichahaT ka
kisi ko jurat-e-izhaar ne halak kiya
kisi ka taKHta bichhaya nasib-e-KHufta ne
kisi ko tala-e-bedar ne halak kiya
wahi halaku ki jis ne kiye hazaron halak
use bhi waqt ki yalghaar ne halak kiya
kisi ko mar gaya us ka kam-suKHan hona
kisi ko kasrat-e-ashaar ne halak kiya
wahi KHasara hai sab ki tarah hamein darpesh
hamein bhi garmi-e-bazar ne halak kiya
kabhi tabah hue mashwara na milne se
kabhi nawishta-e-diwar ne halak kiya
mili thi jis ke labon se nai hayat hamein
usi ki shoKHi-e-guftar ne halak kiya
KHuda ka shukr ki pasti na hum ko khench saki
hamein bulandi-e-mear ne halak kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.