kahan tak aisi ulfat ko nibahen
kahāñ tak aisī ulfat ko nibāheñ
rahā kartī haiñ ab to lab pe aaheñ
ilāj-e-hasrat-e-dīdār phir kyā
agar māyūs ho jaa.eñ nigāheñ
mujhe ma.alūm hai apnī haqīqat
kahāñ maiñ aur kahāñ vo jalva-gāheñ
dil-o-jāñ sab to tum ko de chuke haiñ
batāo kis tarah ab tum ko chāheñ
mohabbat meñ baḌī vus.at hai 'sāqib'
mohabbat kī na kar masdūd rāheñ
kahan tak aisi ulfat ko nibahen
raha karti hain ab to lab pe aahen
ilaj-e-hasrat-e-didar phir kya
agar mayus ho jaen nigahen
mujhe malum hai apni haqiqat
kahan main aur kahan wo jalwa-gahen
dil-o-jaan sab to tum ko de chuke hain
batao kis tarah ab tum ko chahen
mohabbat mein baDi wusat hai 'saqib'
mohabbat ki na kar masdud rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.