kahan tak bach sakoge ham-safar aahista aahista
kahāñ tak bach sakoge ham-safar āhista āhista
nigal jaatā hai kashtī ko bhañvar āhista āhista
bahut mushkil hai pahle vaar meñ gardan utar jaa.e
maiñ us ko chhoḌ jā.ūñgā magar āhista āhista
hamāre āñsuoñ ke sāmne koī na Tik paayā
ukhaḌne lag ga.e dīvār-o-dar āhista āhista
maiñ ik din kāñpte hāthoñ se us kā jism chhū lūñgā
nikal jaate haiñ dil se saare Dar āhista āhista
maiñ rotā huuñ magar jazbāt be-qābū nahīñ hote
havā chaltī to hai sahrā meñ par āhista āhista
kahan tak bach sakoge ham-safar aahista aahista
nigal jata hai kashti ko bhanwar aahista aahista
bahut mushkil hai pahle war mein gardan utar jae
main us ko chhoD jaunga magar aahista aahista
hamare aansuon ke samne koi na Tik paya
ukhaDne lag gae diwar-o-dar aahista aahista
main ek din kanpte hathon se us ka jism chhu lunga
nikal jate hain dil se sare Dar aahista aahista
main rota hun magar jazbaat be-qabu nahin hote
hawa chalti to hai sahra mein par aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.