kahan tak jaoge nazren chura kar
kahāñ tak jāoge nazreñ churā kar
tumheñ rakkhūñgā āñkhoñ meñ chhupā kar
tumhāre haath bhī to jal ga.e haiñ
milā kyā tum ko merā ghar jalā kar
ḳharīdāroñ meñ jab koī nahīñ hai
milā kyā aap ko qīmat baḌhā kar
yahī ghar thā buzurgoñ kī nishānī
bahut ḳhush thā ise virsa meñ pā kar
yaqīnan ā.eñge vo is taraf bhī
maiñ baiThā huuñ charāġh-e-dil jalā kar
tumheñ 'nashtar' se milnā hai to mil lo
udhar baiThe haiñ merā dil dukhā kar
kahan tak jaoge nazren chura kar
tumhein rakkhunga aankhon mein chhupa kar
tumhaare hath bhi to jal gae hain
mila kya tum ko mera ghar jala kar
KHaridaron mein jab koi nahin hai
mila kya aap ko qimat baDha kar
yahi ghar tha buzurgon ki nishani
bahut KHush tha ise wirsa mein pa kar
yaqinan aaenge wo is taraf bhi
main baiTha hun charagh-e-dil jala kar
tumhein 'nashtar' se milna hai to mil lo
udhar baiThe hain mera dil dukha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.