kahan tak ye sitare dar-ba-dar phirte rahenge
kahāñ tak ye sitāre dar-ba-dar phirte raheñge
tirī āñkhoñ meñ āḳhir apnī manzil DhūñD leñge
purānī is kahānī par yaqīñ aa.e na aa.e
magar ham sāmrī ke sehr se kaise bacheñge
udāsī is galī meñ kitne din tak rah sakegī
na.e mausam purāne qufl āḳhir toḌ deñge
havā-e-tāza badlegī fazā us baaġh kī bhī
na.ī rut meñ na.e paude yahāñ phūle phaleñge
tire dar tak na pahuñcheñge bhaḌakte tez sho.ale
to kyā is aag meñ ham hī sadā jalte raheñge
kahan tak ye sitare dar-ba-dar phirte rahenge
teri aankhon mein aaKHir apni manzil DhunD lenge
purani is kahani par yaqin aae na aae
magar hum samri ke sehr se kaise bachenge
udasi is gali mein kitne din tak rah sakegi
nae mausam purane qufl aaKHir toD denge
hawa-e-taza badlegi faza us bagh ki bhi
nai rut mein nae paude yahan phule phalenge
tere dar tak na pahunchenge bhaDakte tez shoale
to kya is aag mein hum hi sada jalte rahenge
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 78)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.