kahan talak teri yaadon se taKHliya kar len
kahāñ talak tirī yādoñ se taḳhliya kar leñ
ham apne aap ko bhūle haiñ aur kyā kar leñ
na ashk aañkh meñ aa.e na aañkh bah nikle
to kyuuñ na jānib-e-pahlū hī aaj vā kar leñ
hazār rañg qabāoñ pe Daal rakkhe haiñ
ajiib ḳhabt hai dāman ko pārsā kar leñ
baḌe ġhurūr se kī hai zamīr ne tauba
jo tū mile kabhī tanhā to phir ḳhatā kar leñ
mire liye to ye duniyā sarāb jaisī hai
ab is pe ḳhaak na Dāleñ to aur kyā kar leñ
na dil rahe na mohabbat rahe na dard rahe
chalo akele meñ mil kar ye faisla kar leñ
unhīñ kā naam hai dil kī har ek dhaḌkan par
vo chāhte haiñ ki sāñseñ bhī ab batā kar leñ
kahan talak teri yaadon se taKHliya kar len
hum apne aap ko bhule hain aur kya kar len
na ashk aankh mein aae na aankh bah nikle
to kyun na jaanib-e-pahlu hi aaj wa kar len
hazar rang qabaon pe Dal rakkhe hain
ajib KHabt hai daman ko parsa kar len
baDe ghurur se ki hai zamir ne tauba
jo tu mile kabhi tanha to phir KHata kar len
mere liye to ye duniya sarab jaisi hai
ab is pe KHak na Dalen to aur kya kar len
na dil rahe na mohabbat rahe na dard rahe
chalo akele mein mil kar ye faisla kar len
unhin ka nam hai dil ki har ek dhaDkan par
wo chahte hain ki sansen bhi ab bata kar len
- Book : Lahja bolta hai (Pg. 151)
- Author : Siraj Alam Zakhmi
- Publication : Gulistan-e-adab (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.