kahan teri parchhaiyon ko pata tha
kahāñ terī parchhā.iyoñ ko patā thā
ki terā patā titliyoñ ko patā thā
mire ramz jo bhī haiñ jaise bhī haiñ bas
tirī kaan kī bāliyoñ ko patā thā
bayāñ aap ko karnā mumkin nahīñ hai
ye saarī ġhazal-ḳhvāniyoñ ko patā thā
nahīñ paas mere ġhamoñ ke sivā kuchh
chalo ḳhair ḳhush-hāliyoñ ko patā thā
kuchh un ko bhī thī ḳhabar thoḌī thoḌī
kuchh apnī bhī nākāmiyoñ ko patā thā
kahāñ kab zabāñ kholnī hai nahīñ hai
ki shāyad ye ḳhāmoshiyoñ ko patā thā
manāzir jo ab āñkhoñ ke sāmne haiñ
hai hairat ki bīnā.iyoñ ko patā thā
ḳhud apnī tabāhī kā anjām 'hāmid'
baḌī muddatoñ se diyoñ ko patā thā
kahan teri parchhaiyon ko pata tha
ki tera pata titliyon ko pata tha
mere ramz jo bhi hain jaise bhi hain bas
teri kan ki baaliyon ko pata tha
bayan aap ko karna mumkin nahin hai
ye sari ghazal-KHwaniyon ko pata tha
nahin pas mere ghamon ke siwa kuchh
chalo KHair KHush-haaliyon ko pata tha
kuchh un ko bhi thi KHabar thoDi thoDi
kuchh apni bhi nakaamiyon ko pata tha
kahan kab zaban kholni hai nahin hai
ki shayad ye KHamoshiyon ko pata tha
manazir jo ab aankhon ke samne hain
hai hairat ki binaiyon ko pata tha
KHud apni tabahi ka anjam 'hamid'
baDi muddaton se diyon ko pata tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.