kahan thi itni majal banda zarur wo koi aur hoga
kahāñ thī itnī majāl banda zarūr vo koī aur hogā
tumhārā shikva mirī zabāñ par huzūr vo koī aur hogā
tumhārī dānishvarī ke sadqe ki baat majzūb kī na samjhe
jo ramz-e-irfāñ se āshnā ho shu.ūr vo koī aur hogā
mujhe to kuchh ġham nahīñ hai vaa.iz ki maiñ to mast-e-mai-e-azal huuñ
sharāb-e-kausar tumheñ mubārak surūr vo koī aur hogā
tumhāre dīdār kī badaulat har ek lahza hameñ qayāmat
ye dil to betāb hai azal se subūr vo koī aur hogā
bapā hai ik hashr dil meñ paiham nahīñ hai mahshar kā ham ko kuchh ġham
ye maanā yaum-un-nushūr hogā nushūr vo koī aur hogā
kahan thi itni majal banda zarur wo koi aur hoga
tumhaara shikwa meri zaban par huzur wo koi aur hoga
tumhaari danishwari ke sadqe ki baat majzub ki na samjhe
jo ramz-e-irfan se aashna ho shuur wo koi aur hoga
mujhe to kuchh gham nahin hai waiz ki main to mast-e-mai-e-azal hun
sharab-e-kausar tumhein mubarak surur wo koi aur hoga
tumhaare didar ki badaulat har ek lahza hamein qayamat
ye dil to betab hai azal se subur wo koi aur hoga
bapa hai ek hashr dil mein paiham nahin hai mahshar ka hum ko kuchh gham
ye mana yaum-un-nushur hoga nushur wo koi aur hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.