kahan thi taqat-e-guftar jo aah-o-fughan karte
kahāñ thī tāqat-e-guftār jo āh-o-fuġhāñ karte
jo dam kuchh dam Thahar jaatā to tum ko nazr jaañ karte
chalo jaañ bach ga.ī she'r-o-suḳhan meñ Dhal ga.e aañsū
dil-e-ranjūr meñ kab tak vagarna ġham makāñ karte
sukūñ se baiTh kar apnī tamāsha dekhte guzrī
bhalā kyoñ is fanā-ḳhāne meñ ham nām-o-nishāñ karte
kisī kā bār-e-furqat aur chale-chalne kī majbūrī
dahaktī dhuup meñ kis ko bhalā ham sā.ebāñ karte
hamārī dhaḌkaneñ tasbīh thiiñ ik nām-e-nāmī kī
zarūrat hī nahīñ samjhī ki kuchh vird-e-zabāñ karte
hamāre 'ishq kā mehvar numāyāñ bhī thā maḳhfī bhī
to kyoñ ham shauq meñ ḳhud ko nihāñ karte 'ayāñ karte
dabistān-e-suḳhan meñ tifl-e-maktab the 'zahīr'-e-man
vagarna in zamīnoñ ko ġhazal kī āsmāñ karte
kahan thi taqat-e-guftar jo aah-o-fughan karte
jo dam kuchh dam Thahar jata to tum ko nazr jaan karte
chalo jaan bach gai she'r-o-suKHan mein Dhal gae aansu
dil-e-ranjur mein kab tak wagarna gham makan karte
sukun se baiTh kar apni tamasha dekhte guzri
bhala kyon is fana-KHane mein hum nam-o-nishan karte
kisi ka bar-e-furqat aur chale-chalne ki majburi
dahakti dhup mein kis ko bhala hum saeban karte
hamari dhaDkanen tasbih thin ek nam-e-nami ki
zarurat hi nahin samjhi ki kuchh wird-e-zaban karte
hamare 'ishq ka mehwar numayan bhi tha maKHfi bhi
to kyon hum shauq mein KHud ko nihan karte 'ayan karte
dabistan-e-suKHan mein tifl-e-maktab the 'zahir'-e-man
wagarna in zaminon ko ghazal ki aasman karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.