kahan wo sim-tanan hain kahan wo gul-badnan
kahāñ vo sīm-tanāñ haiñ kahāñ vo gul-badnāñ
azīz-az-dil-o-jāñ hai hadīs-e-lāla-ruḳhāñ
ye ham se pūchho jalāl-o-jamāl kyā shai hai
hamāre gird rahā hai hujūm-e-māh-vashāñ
mirī nigāh ko hai diid kī kahāñ fursat
haiñ yuuñ to jalve hī jalve fazā meñ raqs-kunāñ
sukūñ hai kār-gah-e-zīst meñ kahāñ yaaro
kashāñ-kashāñ liye phirtī hai gardish-e-daurāñ
yahāñ to saañs bhī lene meñ ehtiyāt hai shart
ba-qaul 'mīr' ye hai kār-gāh-e-gāh-shīsha-garāñ
'habāb' apne vatan se to duur huuñ lekin
nigāh meñ haiñ sabhī dostān-e-zinda-dilāñ
kahan wo sim-tanan hain kahan wo gul-badnan
aziz-az-dil-o-jaan hai hadis-e-lala-ruKHan
ye hum se puchho jalal-o-jamal kya shai hai
hamare gird raha hai hujum-e-mah-washan
meri nigah ko hai did ki kahan fursat
hain yun to jalwe hi jalwe faza mein raqs-kunan
sukun hai kar-gah-e-zist mein kahan yaro
kashan-kashan liye phirti hai gardish-e-dauran
yahan to sans bhi lene mein ehtiyat hai shart
ba-qaul 'mir' ye hai kar-gah-e-gah-shisha-garan
'habab' apne watan se to dur hun lekin
nigah mein hain sabhi dostan-e-zinda-dilan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.