kahani ki kahani ho gaya hun
kahānī kī kahānī ho gayā huuñ
tavālat meñ misālī ho gayā huuñ
ye bastī merī ḳhātir ajnabī thī
ki sadiyoñ meñ maqāmī ho gayā huuñ
ġharaz koī nahīñ duniyā se mujh ko
maiñ sad-fīsad kitābī ho gayā huuñ
muqābil jo bhī insāñ hai adū hai
maiñ sarhad kā sipāhī ho gayā huuñ
maiñ jabran kaaT letā huuñ lab us ke
mohabbat meñ fasādī ho gayā huuñ
mirā ġham mere aañsū merī hastī
maiñ had-darja hī zaatī ho gayā huuñ
nahīñ imkān shāhid behtarī kā
ḳharābī kī ḳharābī ho gayā huuñ
kahani ki kahani ho gaya hun
tawalat mein misali ho gaya hun
ye basti meri KHatir ajnabi thi
ki sadiyon mein maqami ho gaya hun
gharaz koi nahin duniya se mujh ko
main sad-fisad kitabi ho gaya hun
muqabil jo bhi insan hai adu hai
main sarhad ka sipahi ho gaya hun
main jabran kaT leta hun lab us ke
mohabbat mein fasadi ho gaya hun
mera gham mere aansu meri hasti
main had-darja hi zati ho gaya hun
nahin imkan shahid behtari ka
KHarabi ki KHarabi ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.