kahani ko bikharne se bachaya ja raha hai
kahānī ko bikharne se bachāyā jā rahā hai
mirā kirdār qabl-az-vaqt laayā jā rahā hai
abhī ham jāgte haiñ aur itnā jānte haiñ
ye manzar vo nahīñ hai jo dikhāyā jā rahā hai
hamārā bhī koī kirdār hai kaTh-putliyoñ sā
so uñglī ke ishāroñ par nachāyā jā rahā hai
mirī miTTī ko aanā hī nahīñ manzūr is par
to phir kyoñ chaak ko ḳhālī ghumāyā jā rahā hai
yūñhī is ḳhāk-dāñ meñ to nahīñ pheñkā gayā huuñ
mujhe lagtā hai mujh ko āzmāyā jā rahā hai
kahani ko bikharne se bachaya ja raha hai
mera kirdar qabl-az-waqt laya ja raha hai
abhi hum jagte hain aur itna jaante hain
ye manzar wo nahin hai jo dikhaya ja raha hai
hamara bhi koi kirdar hai kaTh-putliyon sa
so ungli ke ishaaron par nachaya ja raha hai
meri miTTi ko aana hi nahin manzur is par
to phir kyon chaak ko KHali ghumaya ja raha hai
yunhi is KHak-dan mein to nahin phenka gaya hun
mujhe lagta hai mujh ko aazmaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.