kahani ya koi qissa nahin hai
kahānī yā koī qissa nahīñ hai
tire jaisā koī chehra nahīñ hai
guhar huuñ la.al huuñ maiñ yā ki patthar
kisī ne aaj tak parkhā nahīñ hai
salīb-o-dār se sab Dar rahe haiñ
yahāñ par sach koī kahtā nahīñ hai
parāyoñ se bhalā shikva gila kyā
mujhe apnoñ ne hī samjhā nahīñ hai
har-ik sū abr-e-zulmat hai barastā
kahīñ rahmat kī ab barkhā nahīñ hai
bulandī par bahut itrā rahe ho
koī bhī jā ke vaañ Thahrā nahīñ hai
mohabbat ko vo kyā samjhegā 'sārim'
jo is rah se kabhī guzrā nahīñ hai
kahani ya koi qissa nahin hai
tere jaisa koi chehra nahin hai
guhar hun lal hun main ya ki patthar
kisi ne aaj tak parkha nahin hai
salib-o-dar se sab Dar rahe hain
yahan par sach koi kahta nahin hai
parayon se bhala shikwa gila kya
mujhe apnon ne hi samjha nahin hai
har-ik su abr-e-zulmat hai barasta
kahin rahmat ki ab barkha nahin hai
bulandi par bahut itra rahe ho
koi bhi ja ke wan Thahra nahin hai
mohabbat ko wo kya samjhega 'sarim'
jo is rah se kabhi guzra nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.