kahani yun hi si hai phir bhi shandar kahun
kahānī yuuñ hī sī hai phir bhī shāndār kahūñ
maiñ sochtā huuñ kisī din use bahār kahūñ
vo apnā naam hathelī pe merī likh degā
ye rishta joḌ na pā.ūñ to intizār kahūñ
us ek naam ke aage bhī koī rishta hai
jab aage soch na pā.ūñ to yādgār kahūñ
kisī kī aañkh se Tapkā bahā gayā mujh ko
maiñ is ko qatra hī samjhūñ ki ābshār kahūñ
kabhī na deñge ye chaurāhe mujh ko naam koī
tire qarīb se guzrūñ to sangsār kahūñ
ik us ke aane se 'shāhid' khile khile se haiñ phuul
is ek vahm ko shāyad kabhī maiñ pyaar kahūñ
kahani yun hi si hai phir bhi shandar kahun
main sochta hun kisi din use bahaar kahun
wo apna nam hatheli pe meri likh dega
ye rishta joD na paun to intizar kahun
us ek nam ke aage bhi koi rishta hai
jab aage soch na paun to yaadgar kahun
kisi ki aankh se Tapka baha gaya mujh ko
main is ko qatra hi samjhun ki aabshaar kahun
kabhi na denge ye chaurahe mujh ko nam koi
tere qarib se guzrun to sangsar kahun
ek us ke aane se 'shahid' khile khile se hain phul
is ek wahm ko shayad kabhi main pyar kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.