kahe deta hun go hai to nahin ye baat kahne ki
kahe detā huuñ go hai to nahīñ ye baat kahne kī
tirī ḳhvāhish nahīñ dil meñ ziyāda der rahne kī
bachā kar dil guzartā jā rahā huuñ har ta’alluq se
kahāñ us aable ko taab hai ab choT sahne kī
rag-o-pai meñ na hañgāma kare to kyā kare āḳhir
ijāzat jab nahīñ is rañj ko āñkhoñ se bahne kī
bas apnī apnī tarjīhāt apnī apnī ḳhvāhish hai
tujhe shohrat kamāne kī mujhe ik she'r kahne kī
jahāñ kā huuñ vahīñ kī raas aa.egī fazā mujh ko
ye duniyā bhī bhalā koī jagah hai mere rahne kī
jo kal 'irfān' par guzrī sunā kuchh us ke baare meñ
ḳhabar tum ne sunī tūfān meñ dariyā ke bahne kī
kahe deta hun go hai to nahin ye baat kahne ki
teri KHwahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki
bacha kar dil guzarta ja raha hun har ta’alluq se
kahan us aable ko tab hai ab choT sahne ki
rag-o-pai mein na hangama kare to kya kare aaKHir
ijazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki
bas apni apni tarjihat apni apni KHwahish hai
tujhe shohrat kamane ki mujhe ek she'r kahne ki
jahan ka hun wahin ki ras aaegi faza mujh ko
ye duniya bhi bhala koi jagah hai mere rahne ki
jo kal 'irfan' par guzri suna kuchh us ke bare mein
KHabar tum ne suni tufan mein dariya ke bahne ki
- Book : Takrar-e-imkaa.n (Pg. 15)
- Author : Irfan Sattar
- Publication : Dehleez Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.