kahen kis se sunaen kis ko ab dard-e-nihan apna
kaheñ kis se sunā.eñ kis ko ab dard-e-nihāñ apnā
usī ne raaz kholā jo banā thā rāz-dāñ apnā
samajh baiThe junūn-e-shauq meñ saarā jahāñ apnā
na raas aaya jahāñ ham ne banāyā āshiyāñ apnā
safar kaisā rahā manzil thī kaisī ab ye mat pūchho
vo saa.at nahs thī jis vaqt niklā kārvāñ apnā
muazziz ġhair jis husn-e-bayāñ zor-e-bayāñ par hai
hamīñ the lā.eq-e-tāzīr gar hotā bayāñ apnā
fareb-e-bārhā par hai vahī husn-e-gumāñ un se
kise ma.alūm ab kyā gul khilā.egā gumāñ apnā
in ahl-e-zauq kā mat pūchho anjām-e-safar kyā ho
na samjhā jin kā ḳhud zauq-e-safar sūd-o-ziyāñ apnā
talāsh-e-nāravā meñ ab agar ahl-e-talab bhaTke
nahīñ din duur jab kho baiTheñge nām-o-nishāñ apnā
nasheman chhin gayā ham par-burīda is liye chup haiñ
'zubair' ab juz qafas koī Thikānā hī kahāñ apnā
kahen kis se sunaen kis ko ab dard-e-nihan apna
usi ne raaz khola jo bana tha raaz-dan apna
samajh baiThe junun-e-shauq mein sara jahan apna
na ras aaya jahan hum ne banaya aashiyan apna
safar kaisa raha manzil thi kaisi ab ye mat puchho
wo saat nahs thi jis waqt nikla karwan apna
muazziz ghair jis husn-e-bayan zor-e-bayan par hai
hamin the laeq-e-tazir gar hota bayan apna
fareb-e-barha par hai wahi husn-e-guman un se
kise malum ab kya gul khilaega guman apna
in ahl-e-zauq ka mat puchho anjam-e-safar kya ho
na samjha jin ka KHud zauq-e-safar sud-o-ziyan apna
talash-e-narawa mein ab agar ahl-e-talab bhaTke
nahin din dur jab kho baiThenge nam-o-nishan apna
nasheman chhin gaya hum par-burida is liye chup hain
'zubair' ab juz qafas koi Thikana hi kahan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.