kahen kya tujhse hum o ahd-o-paiman bhulne wale
kaheñ kyā tujh se ham o ahd-o-paimāñ bhūlne vaale
bhulāyā ham ko tū ne tere qurbāñ bhūlne vaale
na vo apne taġhāful tā-ba-imkāñ bhūlne vaale
na ham bhūle hue va.adoñ kā ehsāñ bhūlne vaale
hamīñ haiñ qātiloñ meñ jī bajā irshād hotā hai
hamīñ haiñ muntazir ḳhūn-e-shahīdāñ bhūlne vaale
zamīñ ḳhuld-e-barīñ ye ham ko dhokā de nahīñ saktī
vo koī aur hoñge kū-e-jānāñ bhūlne vaale
kabhī bhūle se jab merī vafā.eñ yaad aatī haiñ
to kyā kyā dil meñ hote haiñ pashemāñ bhūlne vaale
yahī shart-e-vafā thī chāhne vāloñ se o zālim
zarā āñkheñ milā o ahd-o-paimāñ bhūlne vaale
daġhā kī hai muqaddar ne kahāñ ġhurbat nasīboñ se
kidhar jā.eñge ab rāh-e-bayābāñ bhūlne vaale
rahe jaate haiñ pīchhe maz.hab-o-millat ke shaidā.ī
baḌhe jaate haiñ aage dīn-o-īmāñ bhūlne vaale
ḳhudā aa aa gayā hai yaad vo vo zulm Dhaa.e haiñ
kahīñ 'safdar' butoñ ko haiñ musalmāñ bhūlne vaale
kahen kya tujh se hum o ahd-o-paiman bhulne wale
bhulaya hum ko tu ne tere qurban bhulne wale
na wo apne taghaful ta-ba-imkan bhulne wale
na hum bhule hue wadon ka ehsan bhulne wale
hamin hain qatilon mein ji baja irshad hota hai
hamin hain muntazir KHun-e-shahidan bhulne wale
zamin KHuld-e-barin ye hum ko dhoka de nahin sakti
wo koi aur honge ku-e-jaanan bhulne wale
kabhi bhule se jab meri wafaen yaad aati hain
to kya kya dil mein hote hain pasheman bhulne wale
yahi shart-e-wafa thi chahne walon se o zalim
zara aankhen mila o ahd-o-paiman bhulne wale
dagha ki hai muqaddar ne kahan ghurbat nasibon se
kidhar jaenge ab rah-e-bayaban bhulne wale
rahe jate hain pichhe mazhab-o-millat ke shaidai
baDhe jate hain aage din-o-iman bhulne wale
KHuda aa aa gaya hai yaad wo wo zulm Dhae hain
kahin 'safdar' buton ko hain musalman bhulne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.