kahen to kya kahen KHair apni jaan hi ki nahin
kaheñ to kyā kaheñ ḳhair apnī jaan hī kī nahīñ
yahī ḳhabar hai ki koī ḳhabar ḳhushī kī nahīñ
ye vāqi.a hai ghar itne mile mile haiñ magar
ye sāneha hai kisī ko ḳhabar kisī kī nahīñ
tarab-kadoñ kī shab-afroziyāñ qayāmat haiñ
kahīñ kahīñ to koī had hī raushnī kī nahīñ
hazāroñ ho ga.e paivand ḳhaak isī ġham meñ
yahāñ to ḳhaak kī qīmat hai aadmī kī nahīñ
ye kaisā ek hī bastī meñ hai nizām-e-tulūa
kisī galī meñ sahar hai kisī galī meñ nahīñ
guzār dī hai isī pesh-o-pas meñ umr tamām
tamām umr meñ ik lahar zindagī kī nahīñ
ġhalat-navāoñ ko hai izn-e-āshiyāñ-bandī
jo ḳhush-navā hai bahut koī shāḳh usī kī nahīñ
kahen to kya kahen KHair apni jaan hi ki nahin
yahi KHabar hai ki koi KHabar KHushi ki nahin
ye waqia hai ghar itne mile mile hain magar
ye saneha hai kisi ko KHabar kisi ki nahin
tarab-kadon ki shab-afroziyan qayamat hain
kahin kahin to koi had hi raushni ki nahin
hazaron ho gae paiwand KHak isi gham mein
yahan to KHak ki qimat hai aadmi ki nahin
ye kaisa ek hi basti mein hai nizam-e-tulua
kisi gali mein sahar hai kisi gali mein nahin
guzar di hai isi pesh-o-pas mein umr tamam
tamam umr mein ek lahar zindagi ki nahin
ghalat-nawaon ko hai izn-e-ashiyan-bandi
jo KHush-nawa hai bahut koi shaKH usi ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.