kahi sab ki sununga an-suni karta rahunga
kahī sab kī sunūñgā an-sunī kartā rahūñgā
jo mere jī meñ aa.egī vahī kartā rahūñgā
hañsī meñ dostī yā dushmanī kartā rahūñgā
yahī kartā rahā huuñ aur yahī kartā rahūñgā
nayā chehra muqābil us ke hogā har jihat se
maiñ us ke aa.ine ko hairatī kartā rahūñgā
badal jā.egā merā ghar bhī sahrā meñ kisī din
agar maiñ dasht hī meñ zindagī kartā rahūñgā
manā lūñgā use jangāh meñ ḳhud qatl ho kar
maiñ apne bhaa.ī ko kab tak dukhī kartā rahūñgā
qasīda ġhair kā likh kar koī in.aam le luuñ
maiñ apnī mad.h-ḳhvānī phir kabhī kartā rahūñgā
karegā kaun shāhī sāhirī sāhib-qirānī
agar maiñ umr bhar shahzādagī kartā rahūñgā
kahi sab ki sununga an-suni karta rahunga
jo mere ji mein aaegi wahi karta rahunga
hansi mein dosti ya dushmani karta rahunga
yahi karta raha hun aur yahi karta rahunga
naya chehra muqabil us ke hoga har jihat se
main us ke aaine ko hairati karta rahunga
badal jaega mera ghar bhi sahra mein kisi din
agar main dasht hi mein zindagi karta rahunga
mana lunga use jangah mein KHud qatl ho kar
main apne bhai ko kab tak dukhi karta rahunga
qasida ghair ka likh kar koi inam le lun
main apni madh-KHwani phir kabhi karta rahunga
karega kaun shahi sahiri sahib-qirani
agar main umr bhar shahzadagi karta rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.