kahin bahaar kahin par KHizan ka mausam hai
kahīñ bahār kahīñ par ḳhizāñ kā mausam hai
tamām shahr meñ sūd-o-ziyāñ kā mausam hai
na raas aa.egī ham ko abhī ye āb-o-havā
jahāñ ke ham haiñ nazar meñ vahāñ kā mausam hai
havā kī zid bhī vahī hai diye kī zid bhī vahī
ajab hikāyat-e-shab-zād-gāñ kā mausam hai
kaḌaktī bijliyāñ abr-e-siyāh bārish-e-sang
zamīñ se kah do abhī āsmāñ kā mausam hai
fazā meñ itr sī ḳhushbū ghulegī aur abhī
abhī fasāna-e-dil-dād-gāñ kā mausam hai
chhalak rahe haiñ sabhī dard mehrbāñ ho kar
uThāo haath ki āzār-e-jāñ kā mausam hai
ab is ke baad zamīñ rafta rafta hogī siyāh
abhī hai surḳh ki ye kushtagāñ kā mausam hai
yaqīn hai ki na.e barg-o-bār ā.eñge
yaqīñ ke shahr meñ ab ke gumāñ kā mausam hai
nigāh-e-shab meñ shab-e-raftagāñ guzār aa.e
nigāh-e-sub.h meñ ā.indagāñ kā mausam hai
kahin bahaar kahin par KHizan ka mausam hai
tamam shahr mein sud-o-ziyan ka mausam hai
na ras aaegi hum ko abhi ye aab-o-hawa
jahan ke hum hain nazar mein wahan ka mausam hai
hawa ki zid bhi wahi hai diye ki zid bhi wahi
ajab hikayat-e-shab-zad-gan ka mausam hai
kaDakti bijliyan abr-e-siyah barish-e-sang
zamin se kah do abhi aasman ka mausam hai
faza mein itr si KHushbu ghulegi aur abhi
abhi fasana-e-dil-dad-gan ka mausam hai
chhalak rahe hain sabhi dard mehrban ho kar
uThao hath ki aazar-e-jaan ka mausam hai
ab is ke baad zamin rafta rafta hogi siyah
abhi hai surKH ki ye kushtagan ka mausam hai
yaqin hai ki nae barg-o-bar aaenge
yaqin ke shahr mein ab ke guman ka mausam hai
nigah-e-shab mein shab-e-raftagan guzar aae
nigah-e-subh mein aaindagan ka mausam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.