kahin baiThne de dil ab mujhe jo hawas Tak main baja karun
kahin baiThne de dil ab mujhe jo hawas Tak main baja karun
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
kahīñ baiThne de dil ab mujhe jo havās Tak maiñ bajā karūñ
nahīñ taab mujh meñ ki jab talak tū phire to maiñ bhī phirā karūñ
tū hazār mujh ko satā parī terī chaah mujh se na chūTegī
mire dil kī to hai yahī ḳhushī tū jafā kare maiñ vafā karūñ
jūñhī bosa maiñ ne talab kiyā to kahā tujhe to nahīñ hai Dar
mujhe ḳhauf hai ki mabādā gar koī dekh le to maiñ kyā karūñ
mujhe muddatoñ se hai dard-e-dil jo kahā kuchh is kā ilaaj kar
to kahā ki is kī davā hai ye tū kahā kare maiñ sunā karūñ
jo nigah se chaah kī dekhiye to chaḌhā ke tyorī ye kahtā hai
terī is nigah kī sazā hai ye ki bas ab maiñ tujh se chhupā karūñ
kabhī us ke kūche meñ jā mile jo ba-kām-e-dil ghaḌī-do-ghaḌī
tū mujhe haiñ yaad vo makr-o-fan phir usī ke dil meñ maiñ jā girūñ
koī bolā tum ne 'nazīr' ko na jhiḌak diyā to kahā miyāñ
dil-o-jāñ se mujh pe fidā hai vo use kis tarah maiñ ḳhafā karūñ
kahin baiThne de dil ab mujhe jo hawas Tak main baja karun
nahin tab mujh mein ki jab talak tu phire to main bhi phira karun
tu hazar mujh ko sata pari teri chah mujh se na chuTegi
mere dil ki to hai yahi KHushi tu jafa kare main wafa karun
junhi bosa main ne talab kiya to kaha tujhe to nahin hai Dar
mujhe KHauf hai ki mabaada gar koi dekh le to main kya karun
mujhe muddaton se hai dard-e-dil jo kaha kuchh is ka ilaj kar
to kaha ki is ki dawa hai ye tu kaha kare main suna karun
jo nigah se chah ki dekhiye to chaDha ke tyori ye kahta hai
teri is nigah ki saza hai ye ki bas ab main tujh se chhupa karun
kabhi us ke kuche mein ja mile jo ba-kaam-e-dil ghaDi-do-ghaDi
tu mujhe hain yaad wo makr-o-fan phir usi ke dil mein main ja girun
koi bola tum ne 'nazir' ko na jhiDak diya to kaha miyan
dil-o-jaan se mujh pe fida hai wo use kis tarah main KHafa karun
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.