kahin be-KHayal ho kar yunhi chhu liya kisi ne
kahīñ be-ḳhayāl ho kar yuñhī chhū liyā kisī ne
ka.ī ḳhvāb dekh Daale yahāñ merī be-ḳhudī ne
mire dil maiñ kaun hai tū ki huā jahāñ añdherā
vahīñ sau diye jalā.e tire ruḳh kī chāñdnī ne
kabhī is parī kā hai kuchh kabhī us hasīñ kī mahfil
mujhe dar-ba-dar phirāyā mire dil kī sādgī ne
hai bhalā sā naam us kā maiñ abhī se kyā batā.ūñ
kiyā be-qarār hañs kar mujhe ek aadmī ne
are mujh pe naaz vaalo ye niyāz-mandiyāñ kyoñ
hai yahī karam tumhārā to mujhe na doge jiine
kahin be-KHayal ho kar yunhi chhu liya kisi ne
kai KHwab dekh Dale yahan meri be-KHudi ne
mere dil main kaun hai tu ki hua jahan andhera
wahin sau diye jalae tere ruKH ki chandni ne
kabhi is pari ka hai kuchh kabhi us hasin ki mahfil
mujhe dar-ba-dar phiraya mere dil ki sadgi ne
hai bhala sa nam us ka main abhi se kya bataun
kiya be-qarar hans kar mujhe ek aadmi ne
are mujh pe naz walo ye niyaz-mandiyan kyon
hai yahi karam tumhaara to mujhe na doge jine
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.