kahin bhi aap ka rahat koi maqam nahin
kahīñ bhī aap kā 'rāhat' koī maqām nahīñ
gunāhgāroñ kī fihrist meñ bhī naam nahīñ
kisī kī yaad hī aane se ab jhijaktī hai
hamāre zehn meñ pahlī sī dhūm-dhām nahīñ
hamārī ruuh pighaltī hai sher kahne meñ
ye kaam log samajhte haiñ koī kaam nahīñ
kahāñ se raushnī aa.egī ḳhāna-e-dil meñ
ki shaam Dhalne lagī hai tulū-e-jām nahīñ
ye kis ke sher nasīm-e-sahar sunātī hai
mirā kalām nahīñ aap kā kalām nahīñ
ham us ke faiz se jannat-makīñ to haiñ lekin
udhar kisī se hamārī duā-salām nahīñ
mirī talāsh na.ī manzileñ dikhātī hai
Thahar gayā huuñ jahāñ vo mirā maqām nahīñ
ḳharāb-hālī-e-gulshan se kyoñ pareshān huuñ
hamāre haath meñ gulshan kā intizām nahīñ
ubhar bhī saktā huuñ 'rāhat' maiñ varta-e-ġham se
bashar ke bas kā na ho aisā koī kaam nahīñ
kahin bhi aap ka 'rahat' koi maqam nahin
gunahgaron ki fihrist mein bhi nam nahin
kisi ki yaad hi aane se ab jhijakti hai
hamare zehn mein pahli si dhum-dham nahin
hamari ruh pighalti hai sher kahne mein
ye kaam log samajhte hain koi kaam nahin
kahan se raushni aaegi KHana-e-dil mein
ki sham Dhalne lagi hai tulu-e-jam nahin
ye kis ke sher nasim-e-sahar sunati hai
mera kalam nahin aap ka kalam nahin
hum us ke faiz se jannat-makin to hain lekin
udhar kisi se hamari dua-salam nahin
meri talash nai manzilen dikhati hai
Thahar gaya hun jahan wo mera maqam nahin
KHarab-haali-e-gulshan se kyon pareshan hun
hamare hath mein gulshan ka intizam nahin
ubhar bhi sakta hun 'rahat' main warta-e-gham se
bashar ke bas ka na ho aisa koi kaam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.