kahin bhi hadd-e-nazar tak nazar nahin aae
kahīñ bhī hadd-e-nazar tak nazar nahīñ aa.e
hamārī samt vo aa.e magar nahīñ aa.e
nikal paḌe tirī dhun meñ tire ishāre par
vagarna ḳhvāb to ham ko nazar nahīñ aa.e
hamīñ bulā.e ga.e daar ho ki maqtal ho
tire payām ba-nām-e-digar nahīñ aa.e
ufuq ke paar bhī chhupnā muhāl thā terā
huī ye ḳhair ki ham log udhar nahīñ aa.e
hameñ chaman kī judā.ī na kyoñ girāñ guzre
ham ābrū-e-chaman bech kar nahīñ aa.e
maiñ un se duur bhī rah kar nazar kī zad meñ rahā
vo mere paas rahe aur nazar nahīñ aa.e
bahut dinoñ se hai suunī rah-e-vafā 'bismil'
bahut dinoñ se musāfir nazar nahīñ aa.e
kahin bhi hadd-e-nazar tak nazar nahin aae
hamari samt wo aae magar nahin aae
nikal paDe teri dhun mein tere ishaare par
wagarna KHwab to hum ko nazar nahin aae
hamin bulae gae dar ho ki maqtal ho
tere payam ba-nam-e-digar nahin aae
ufuq ke par bhi chhupna muhaal tha tera
hui ye KHair ki hum log udhar nahin aae
hamein chaman ki judai na kyon giran guzre
hum aabru-e-chaman bech kar nahin aae
main un se dur bhi rah kar nazar ki zad mein raha
wo mere pas rahe aur nazar nahin aae
bahut dinon se hai suni rah-e-wafa 'bismil'
bahut dinon se musafir nazar nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.