kahin bhi ho nazar aata hai par dil mein sanam mujhko
kahin bhi ho nazar aata hai par dil mein sanam mujhko
Abdul Malik Soz
MORE BYAbdul Malik Soz
kahīñ bhī ho nazar aatā hai par dil meñ sanam mujh ko
ḳhudā ne baḳhsh kar dil de diyā hai jām-e-jam mujh ko
baḌā marhūn-e-minnat huuñ tirā ai gardish-e-daurāñ
ki terī Thokaroñ ne kar diyā sābit-qadam mujh ko
mirī tar-dāmanī ne mujh ko vo taqdīs baḳhshī hai
jahāñ meñ DhūñDte phirte haiñ ab dair-o-haram mujh ko
maiñ ḳhush kyūñkar na huuñ āḳhir ġham-e-jānāñ ke milne par
ki saarī rāhateñ de kar milā hai us kā ġham mujh ko
na chheḌo tazkira us kī jafāoñ kā mire aage
sitamgar ke abhī tak yaad haiñ lutf-o-karam mujh ko
vahāñ se mauj-e-kausar ḳhud mujhe le jā.egī aa kar
dar-e-mai-ḳhāna tak chhoḌ aao yaaro kam se kam mujh ko
hazāroñ zindagī kī uljhanoñ meñ 'soz' uljhā thā
chhuḌā laa.e kisī ke gesūoñ ke pech-o-ḳham mujh ko
kahin bhi ho nazar aata hai par dil mein sanam mujh ko
KHuda ne baKHsh kar dil de diya hai jam-e-jam mujh ko
baDa marhun-e-minnat hun tera ai gardish-e-dauran
ki teri Thokaron ne kar diya sabit-qadam mujh ko
meri tar-damani ne mujh ko wo taqdis baKHshi hai
jahan mein DhunDte phirte hain ab dair-o-haram mujh ko
main KHush kyunkar na hun aaKHir gham-e-jaanan ke milne par
ki sari rahaten de kar mila hai us ka gham mujh ko
na chheDo tazkira us ki jafaon ka mere aage
sitamgar ke abhi tak yaad hain lutf-o-karam mujh ko
wahan se mauj-e-kausar KHud mujhe le jaegi aa kar
dar-e-mai-KHana tak chhoD aao yaro kam se kam mujh ko
hazaron zindagi ki uljhanon mein 'soz' uljha tha
chhuDa lae kisi ke gesuon ke pech-o-KHam mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.