kahin bhi ja nahin sakta hun ghar mein rahta hun
kahīñ bhī jā nahīñ saktā huuñ ghar meñ rahtā huuñ
maiñ apnī zaat ke andar safar meñ rahtā huuñ
mujhe hī sochtā rahtā hai merā ik dushman
maiñ duur rah ke bhī dushman ke ghar meñ rahtā huuñ
mujhe pasand hai har samt shorishoñ kā hujūm
nikal to saktā huuñ lekin bhañvar meñ rahtā huuñ
shu'ūr jab bhī mirā lā-shu'ūr bantā hai
to ḳhvāb ḳhvāb se hañste nagar meñ rahtā huuñ
ḳhushā ye sā'at-e-vijdān-e-she'r 'ḳhālid' jī
ġhazal ke shahr meñ nazm-e-hunar meñ rahtā huuñ
kahin bhi ja nahin sakta hun ghar mein rahta hun
main apni zat ke andar safar mein rahta hun
mujhe hi sochta rahta hai mera ek dushman
main dur rah ke bhi dushman ke ghar mein rahta hun
mujhe pasand hai har samt shorishon ka hujum
nikal to sakta hun lekin bhanwar mein rahta hun
shu'ur jab bhi mera la-shu'ur banta hai
to KHwab KHwab se hanste nagar mein rahta hun
KHusha ye sa'at-e-wijdan-e-she'r 'KHalid' ji
ghazal ke shahr mein nazm-e-hunar mein rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.