kahin bhi jao magar dil ke aas-pas raho
kahin bhi jao magar dil ke aas-pas raho
Munawwar Jahan Munawwar
MORE BYMunawwar Jahan Munawwar
kahīñ bhī jaao magar dil ke ās-pās raho
sukūn ban ke raho zindagī kī aas raho
mile jo vaqt to vā'da kabhī nibhā denā
ye kab kahā hai hamesha vafā-shanās raho
miTā deñ fāsla jo kuchh bhī ham meñ tum meñ hai
maiñ chāhtī huuñ mirī dhaḌkanoñ kī saañs raho
vo roz-o-shab jo musībat ke the hue kāfūr
ki mere hote hue tum na bad-havās raho
kiyā hai tum ne 'munavvar' kisī kā ḳhāna-e-dil
ye kyā sitam hai ki tum rū-e-iltimās raho
kahin bhi jao magar dil ke aas-pas raho
sukun ban ke raho zindagi ki aas raho
mile jo waqt to wa'da kabhi nibha dena
ye kab kaha hai hamesha wafa-shanas raho
miTa den fasla jo kuchh bhi hum mein tum mein hai
main chahti hun meri dhaDkanon ki sans raho
wo roz-o-shab jo musibat ke the hue kafur
ki mere hote hue tum na bad-hawas raho
kiya hai tum ne 'munawwar' kisi ka KHana-e-dil
ye kya sitam hai ki tum ru-e-iltimas raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.