kahin bhi main rahun tera KHayal to hoga
kahīñ bhī maiñ rahūñ terā ḳhayāl to hogā
tire bichhaḌne kā dil meñ malāl to hogā
tire liye to ka.ī rāste nikal aa.e
mire liye bhī kahīñ indimāl to hogā
bahut hī ḳhālī huā dil magar kahīñ is meñ
yaqīñ nahīñ to koī ehtimāl to hogā
ravāñ rahegā agar rah-guzar ke saath yūñhī
ye sabza pairoñ tale pā.emāl to hogā
jo raushnī hī alāmat hai tere milne kī
jahāñ charāġh jalegā visāl to hogā
kahin bhi main rahun tera KHayal to hoga
tere bichhaDne ka dil mein malal to hoga
tere liye to kai raste nikal aae
mere liye bhi kahin indimal to hoga
bahut hi KHali hua dil magar kahin is mein
yaqin nahin to koi ehtimal to hoga
rawan rahega agar rah-guzar ke sath yunhi
ye sabza pairon tale paemal to hoga
jo raushni hi alamat hai tere milne ki
jahan charagh jalega visal to hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.