kahin charagh bujhana paDa ki main bhi hun
kahīñ charāġh bujhānā paḌā ki maiñ bhī huuñ
kahīñ pe ḳhud ko jalānā paḌā ki maiñ bhī huuñ
mere gale meñ jo Daalā mere harīfoñ ne
mujhe vo Dhol bajānā paḌā ki maiñ bhī huuñ
tirī atā vo tajassus hai jis ke baḌhne par
tujhe bhī tuur pe aanā paḌā ki maiñ bhī huuñ
vo baar baar mujhe bhūltā thā aur mujhe
ye bār-bār batānā paḌā ki maiñ bhī huuñ
sunā thā ā.eñge mahfil meñ dil-darīda log
mujhe bhī zaḳhm dikhānā paḌā ki maiñ bhī huuñ
vahāñ pe ḳhud ko dikhāyā jahāñ maiñ thā hī nahīñ
kahīñ ye sach bhī chhupānā paḌā ki meñ bhī huuñ
maiñ māntā huuñ ki ḳhāmosh hai magar vo hai
mujhe to shor machānā paḌā ki maiñ bhī huuñ
huā nahīñ to bhī sābit karūñgā hone ko
agar yaqīn dilānā paḌā ki maiñ bhī huuñ
'hasan' hai itnā zarūrī vajūd kā iz.hār
havā ko peḌ hilānā paḌā ki maiñ bhī huuñ
kahin charagh bujhana paDa ki main bhi hun
kahin pe KHud ko jalana paDa ki main bhi hun
mere gale mein jo Dala mere harifon ne
mujhe wo Dhol bajaana paDa ki main bhi hun
teri ata wo tajassus hai jis ke baDhne par
tujhe bhi tur pe aana paDa ki main bhi hun
wo bar bar mujhe bhulta tha aur mujhe
ye bar-bar batana paDa ki main bhi hun
suna tha aaenge mahfil mein dil-darida log
mujhe bhi zaKHm dikhana paDa ki main bhi hun
wahan pe KHud ko dikhaya jahan main tha hi nahin
kahin ye sach bhi chhupana paDa ki mein bhi hun
main manta hun ki KHamosh hai magar wo hai
mujhe to shor machana paDa ki main bhi hun
hua nahin to bhi sabit karunga hone ko
agar yaqin dilana paDa ki main bhi hun
'hasan' hai itna zaruri wajud ka izhaar
hawa ko peD hilana paDa ki main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.