kahin chehre pe chehra tha kahin be-chehragi dekhi
kahīñ chehre pe chehra thā kahīñ be-chehragī dekhī
adākārī sabhī logoñ meñ ham ne ye chhupī dekhī
the bachche 'umr meñ ik se magar ik sā na thā bachpan
kuchh āñkhoñ meñ dikhe sapne to kuchh meñ bebasī dekhī
na Tikte the qadam ghar meñ na pahre the ḳhayāloñ par
mohabbat ke sabab dil ne baḌī āvārgī dekhī
paḌe jo tanz ke patthar lage phūloñ se vo aa kar
masīhā.ī ye ham ne maañ ke āñchal meñ chhupī dekhī
diyā thā faisla vaise to ik-tarfa hī munsif ne
magar phir us kī āñkhoñ meñ zamāne ne namī dekhī
kahin chehre pe chehra tha kahin be-chehragi dekhi
adakari sabhi logon mein hum ne ye chhupi dekhi
the bachche 'umr mein ek se magar ek sa na tha bachpan
kuchh aankhon mein dikhe sapne to kuchh mein bebasi dekhi
na Tikte the qadam ghar mein na pahre the KHayalon par
mohabbat ke sabab dil ne baDi aawargi dekhi
paDe jo tanz ke patthar lage phulon se wo aa kar
masihai ye hum ne man ke aanchal mein chhupi dekhi
diya tha faisla waise to ik-tarfa hi munsif ne
magar phir us ki aankhon mein zamane ne nami dekhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.