kahin dhara hai pas-e-tar-e-ankabut sukun
kahīñ dharā hai pas-e-tār-e-ankabūt sukūn
kahīñ pe kaat rahā hai maze se suut sukūn
sukūt maut hai yaaro sukūn ain-e-hayāt
agarche yaaro ham-āhañg haiñ sukūt sukūn
diloñ se duur ye vīrāniyoñ meñ rahtā hai
ki jis tarah se koī jin hai koī bhuut sukūn
farishtagī meñ ġhulāmī meñ kuchh nahīñ rakkhā
talāsh kiije baġhāvat meñ misl-e-hūt sukūn
hamāre gird hai be-jā ġhurūr kā ġhauġhā
isī liye hai hamāre yahāñ achhūt sukūn
jo kam-sinī meñ baḌhāyā kare the bechainī
diyā kare haiñ buḌhāpe meñ vo ḳhutūt sukūn
amīr-e-shahr ke ḳhutboñ se ghar jo chaltā hai
janāb-e-shaiḳh ko detī nahīñ qunūt sukūn
na pal-do-pal kī ye rāhat na pal-do-pal kā surūr
mujhe to chāhiye 'taslīm' lā-yamūt sukūn
kahin dhara hai pas-e-tar-e-ankabut sukun
kahin pe kat raha hai maze se sut sukun
sukut maut hai yaro sukun ain-e-hayat
agarche yaro ham-ahang hain sukut sukun
dilon se dur ye viraniyon mein rahta hai
ki jis tarah se koi jin hai koi bhut sukun
farishtagi mein ghulami mein kuchh nahin rakkha
talash kije baghawat mein misl-e-hut sukun
hamare gird hai be-ja ghurur ka ghaugha
isi liye hai hamare yahan achhut sukun
jo kam-sini mein baDhaya kare the bechaini
diya kare hain buDhape mein wo KHutut sukun
amir-e-shahr ke KHutbon se ghar jo chalta hai
janab-e-shaiKH ko deti nahin qunut sukun
na pal-do-pal ki ye rahat na pal-do-pal ka surur
mujhe to chahiye 'taslim' la-yamut sukun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.