kahin dhuan kahin shola dikhai deta hai
kahīñ dhuāñ kahīñ sho'la dikhā.ī detā hai
'ajīb haal chaman kā dikhā.ī detā hai
ye kyā sitam hai ki ab zindagī ke sahrā meñ
koī shajar hai na saaya dikhā.ī detā hai
ye kaun paas se guzrā ik ajnabī kī tarah
zarūr koī shanāsā dikhā.ī detā hai
hue haiñ qatl ham apne shu'ūr ke hāthoñ
koī zamāne meñ ham sā dikhā.ī detā hai
zamāne-bhar kī nazar hai hamāre ‘aiboñ par
kisī ko apnā bhī chehrā dikhā.ī detā hai
guzar rahā hai barābar se ik balā kā hujūm
har aadmī hai ki tanhā dikhā.ī detā hai
charāġh-e-dil hī farozāñ rakho ki ai 'afzal'
charāġh-e-ḳhāna to bujhtā dikhā.ī detā hai
kahin dhuan kahin sho'la dikhai deta hai
'ajib haal chaman ka dikhai deta hai
ye kya sitam hai ki ab zindagi ke sahra mein
koi shajar hai na saya dikhai deta hai
ye kaun pas se guzra ek ajnabi ki tarah
zarur koi shanasa dikhai deta hai
hue hain qatl hum apne shu'ur ke hathon
koi zamane mein hum sa dikhai deta hai
zamane-bhar ki nazar hai hamare ‘aibon par
kisi ko apna bhi chehra dikhai deta hai
guzar raha hai barabar se ek bala ka hujum
har aadmi hai ki tanha dikhai deta hai
charagh-e-dil hi farozan rakho ki ai 'afzal'
charagh-e-KHana to bujhta dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.