kahin diwar-misal aur kahin dar jaisa tha
kahīñ dīvār-misāl aur kahīñ dar jaisā thā
terī bāhoñ kā vo halqa mujhe ghar jaisā thā
ek ḳhadsha thā jo yāroñ ko milā detā thā
ek ehsās kisī rāhguzar jaisā thā
duur jaatā thā to baḌhtī thī mirī bīnā.ī
vo jo ik shaḳhs mirī hadd-e-nazar jaisā thā
zindagī meñ tire hamrāh guzārā huā vaqt
koī paudā thā jo sahrā meñ shajar jaisā thā
us ke dam se mire apnoñ kā bharam qaa.em thā
merā ik 'aib zamāne meñ hunar jaisā thā
jaise tūfān kā imkān samundar meñ rahe
mere dil meñ tirā honā kisī Dar jaisā thā
kahin diwar-misal aur kahin dar jaisa tha
teri bahon ka wo halqa mujhe ghar jaisa tha
ek KHadsha tha jo yaron ko mila deta tha
ek ehsas kisi rahguzar jaisa tha
dur jata tha to baDhti thi meri binai
wo jo ek shaKHs meri hadd-e-nazar jaisa tha
zindagi mein tere hamrah guzara hua waqt
koi pauda tha jo sahra mein shajar jaisa tha
us ke dam se mere apnon ka bharam qaem tha
mera ek 'aib zamane mein hunar jaisa tha
jaise tufan ka imkan samundar mein rahe
mere dil mein tera hona kisi Dar jaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.