kahin dua to kahin harf-e-iltija Thahri
kahīñ duā to kahīñ harf-e-iltijā Thahrī
maiñ apne aap meñ Duubī to be-sadā Thahrī
maiñ jāntī huuñ salāmat nahīñ koī dāman
ye raushnī bhī kahāñ kis kā aa.ina Thahrī
safar thā shart magar jab bhī ek naam aayā
qadam to chalte rahe ruuh jā-ba-jā Thahrī
tū darmiyāñ meñ milā darmiyāñ meñ chhūT gayā
jo ibtidā thī mirī hadd-e-intihā Thahrī
havā kā haath pakaḌ kar guzar ga.ī ḳhushbū
maiñ terī raah meñ Thahrī agar to kyā Thahrī
sabhī haiñ ḳhush mire chehre pe kuchh ḳharāsheñ haiñ
koī nigāh kahāñ dard-āshnā Thahrī
phir us ke baa'd ghuTan ne mujhe nihāl kiyā
mire qarīb zarā der ko havā Thahrī
safar nasīb rahā sirf tere naam ke saath
tirī nazar meñ magar phir bhī bevafā Thahrī
qarīb aane kī koshish to us ne kī 'ūshā'
maiñ us ke haq meñ magar ḳhud hī fāsla Thahrī
kahin dua to kahin harf-e-iltija Thahri
main apne aap mein Dubi to be-sada Thahri
main jaanti hun salamat nahin koi daman
ye raushni bhi kahan kis ka aaina Thahri
safar tha shart magar jab bhi ek nam aaya
qadam to chalte rahe ruh ja-ba-ja Thahri
tu darmiyan mein mila darmiyan mein chhuT gaya
jo ibtida thi meri hadd-e-intiha Thahri
hawa ka hath pakaD kar guzar gai KHushbu
main teri rah mein Thahri agar to kya Thahri
sabhi hain KHush mere chehre pe kuchh KHarashen hain
koi nigah kahan dard-ashna Thahri
phir us ke ba'd ghuTan ne mujhe nihaal kiya
mere qarib zara der ko hawa Thahri
safar nasib raha sirf tere nam ke sath
teri nazar mein magar phir bhi bewafa Thahri
qarib aane ki koshish to us ne ki 'usha'
main us ke haq mein magar KHud hi fasla Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.