kahin fard se anjuman ban gaya hun
kahīñ fard se anjuman ban gayā huuñ
kahīñ anjuman meñ akelā milā huuñ
ujāloñ kā andāz pahchāntā huuñ
añdheroñ meñ pal kar nikhar sā gayā huuñ
zamāne se kah do idhar se na guzre
maiñ zulfoñ kī chhāñv meñ sustā rahā huuñ
ye kaisā safar hai ye kaisī haiñ rāheñ
jahāñ se chalā thā vahīñ aa gayā huuñ
vahīñ aa.ī hai mujh ko lene ko manzil
jahāñ thak ke maiñ raah meñ gir paḌā huuñ
ufuq se pare duur hadd-e-nazar tak
na ho ḳhatm jo maiñ vahī rāstā huuñ
zamān-o-makāñ kī hadoñ se guzar kar
ḳhudā jaane aa kar kahāñ maiñ rukā huuñ
kahin fard se anjuman ban gaya hun
kahin anjuman mein akela mila hun
ujalon ka andaz pahchanta hun
andheron mein pal kar nikhar sa gaya hun
zamane se kah do idhar se na guzre
main zulfon ki chhanw mein susta raha hun
ye kaisa safar hai ye kaisi hain rahen
jahan se chala tha wahin aa gaya hun
wahin aai hai mujh ko lene ko manzil
jahan thak ke main rah mein gir paDa hun
ufuq se pare dur hadd-e-nazar tak
na ho KHatm jo main wahi rasta hun
zaman-o-makan ki hadon se guzar kar
KHuda jaane aa kar kahan main ruka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.