kahin gunah kahin par sawab likhte hain
kahīñ gunāh kahīñ par savāb likhte haiñ
farishte roz hamārā hisāb likhte haiñ
vo likh rahe haiñ agar apnī be-ruḳhī ko bajā
to ham nasīb ko apne ḳharāb likhte haiñ
khulā yahīñ se khulā shahr-e-shādmāñ ham par
tumhāre ġham ko masarrat kā baab likhte haiñ
hazāroñ aañkh meñ chubhte haiñ ḳhaar kī sūrat
tumhāre chehre ko jab bhī gulāb likhte haiñ
yahāñ ke log to ta.abīr jānte hī nahīñ
bas apne niiñd meñ rahne ko ḳhvāb likhte haiñ
fareb khaa.e haiñ ḳhush-manzarī se itne ki ab
chamaktī ret ke uupar sarāb likhte haiñ
haiñ aise log bhī shahr-e-adab meñ jo 'kāshif'
kitāb paḌhte nahīñ haiñ kitāb likhte haiñ
kahin gunah kahin par sawab likhte hain
farishte roz hamara hisab likhte hain
wo likh rahe hain agar apni be-ruKHi ko baja
to hum nasib ko apne KHarab likhte hain
khula yahin se khula shahr-e-shadman hum par
tumhaare gham ko masarrat ka bab likhte hain
hazaron aankh mein chubhte hain KHar ki surat
tumhaare chehre ko jab bhi gulab likhte hain
yahan ke log to tabir jaante hi nahin
bas apne nind mein rahne ko KHwab likhte hain
fareb khae hain KHush-manzari se itne ki ab
chamakti ret ke upar sarab likhte hain
hain aise log bhi shahr-e-adab mein jo 'kashif'
kitab paDhte nahin hain kitab likhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.